Sunday, February 22, 2015

Ek Aang Bana Tu

Ek Aang Bana Tu                               
                 -
 Shradha Agarwal










Yahan pag pag nayi kahani hai
Yahan har pal har dil mein ek jawani hai
Le kar apne kal ka pitara aaye the sab
Aaj unke pitare mein sirf kal ke khwabon ki chingari hai

Sursurati hui nadi hai ye,
Faila hua sagar hai ye,
Behti hui hawah mein bhi
Sunai deti ek pukar hai.

Kuch kehti hai ye, suno tum,
Kahin le jayegi ye, saath toh do tum,
Ek vaar aankhen mundh kar,
Iska haath toh thaamo tum.

Tumhari aawaz mein jo pukar hai,Aaj gunjne do tum,
Na sharmao, na hichkichao,bahut khoobsurat ho tum
Zindgi ke iss raaste ko chun liya hai
Ab Lado, ab khair karo, ab na mudo tum.

Faalayen khadi hai baahein, kal tumhara
Pukarti hai tujhko saasien teri
Sun apni dhadkan ki aawaz, kya kehti hai tujhse
Teri he kabiliyat ko lalkar toh nahi rahi kahin?

Kya rakha hai aam banne mein,
Aam toh sabhi hote hai,
Naa dekh iss duniya ko chamkili aakhon se
Iske shishe bade zor se chubhte hai

Mundh aakhen aur jhaank bheetar,
Mehsus kal jwala apni
Bhadakne de uss jyoti ko,
Inn jwala ke lapton mein tu ram ja apni.

Hai ye pareeksha, aur hai ye kathin,
Par na hatana apni nazren apni neshane se tum
Karle drid nishnay aaj toh, aaj teri hai
Saath de khudka jab tak ye saasein teri hai.

Mushkil se milte hai woh jo Vishwas kare,
Kismat se milte hai woh joh Pyaar kare,
Jahan mil raha hai pyaar se vishwas,
Unka bharosa na todo tum aaj.

Utha nazren apni aur dekh uss aasman ko
Unchaiyon mein bhar udan apni
Rakh har kadam nishchay ke saath
Har eent iss neev ki laga tu

Naa darr na darr, haath thamne ko khade hai ye
Na soch itna haath to badha tu
Tere pitare mein hai jo chingari
Usse har dil ko sekne wala ek aang bana tu.